Baba Jan (Bibi Sakina sa Noha) Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Irfan Haider presented by the Irfan Haider label. This creative noha is composed by Irfan Haider, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi.
Baba Jan Details:
Noha: Baba Jan (Bibi Sakina sa Noha)
Recited by: Syed Irfan Haider
Composed by: Irfan Haider
Lyrics: Zeeshan Abidi
Label: Irfan Haider
Baba Jan Lyrics
Haaye
Jab raah-e-Shaam mein dekha ghareeb baap ka sar
Nok-e-sanaan par to Sakeena (s.a) ne tarapkay yeh kiya tha noha
Baba... Baba... Baba... Baba...
Jab koi yateema kehta hai
Mujhe aap (a.s) bohat yaad aate hain (2x)
Kab hoga safar khatam yeh mera
Raahon mein... kaanton par
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Jab se rasan mein yeh gala hai
Baba (a.s) mera dum ghat raha hai
Mushkil hai yeh safar (Aey Baba a.s)
Main is safar mein mar na jaaun
Aakar sambhalo gir na jaaun
Khaak par... dekho naa... panjon par
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baad aap (a.s) ke jab Shimar aaya
Baba (a.s) mera daaman jalaya
Cheene mere gohar (Aey Baba a.s)
Deti rahi ro kar duhai
Baalon se kheencha jab main aayi
Laash par... zakhmi hai... mera sar
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Pehle to mujh ko ek qadam bhi
Chalne nahi deta tha Bhai (a.s)
Kya woh bhool gaya? (Aey Baba a.s)
Baba a.s teri jis par nazar hai
Haan woh mere Bhai (a.s) ka sar hai
Poochho zara... sunta nahi... kyun Akbar (a.s)?
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Sab dekhte hain bas tamasha
Jo bhi mila dekho tamacha
Us ne maara mujhe (Aey Baba a.s)
Kab tak raha hogi Sakeena (s.a)
Yaad aa raha hai ab Madina
Baba (a.s) mujhe... jaaun gi... main kab ghar?
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Rokar Sakeena (s.a) ne sada di
Seene pe sonay ki hoon aadi
Neend aa rahi hai mujhe (Aey Baba a.s)
Main khaak par so na sakoon gi
Bas yeh sada deti rahoongi
Baba (a.s) tujhe... godi mein... lo aakar
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Pyaasi ko sab ne yun sataya
Paani dikhaya aur bahaaya
Kya kya main ne saha (Aey Baba a.s)
Neze se Ammu (a.s) ka gira sar
Jab Shaam walon se tarapkay
Main ne kaha... paani mujhe... do laakar
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Darbaar mein manzar jo dekha
Zeeshan wo kaise likhe ga
Aey Irfaan-e-Aza (Aey Baba a.s)
Beti (s.a) ne ro ke jab sada di
Baba (a.s) ka sar godi mein us ki
Aa gaya... kehti rahi... ro ro kar
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)
Chalte chalte main thak gayi hoon Baba Jaan (a.s)
Written by: Zeeshan Abidi
Baba Jan Video