Bismillah Alamdar Lyrics is a beautiful Noha recited by Kazmi Brothers (Syed Aman kazmi , Syed Amar Ali Rab kazmi, Syed Moazzam Ali Kazmi) is presented by the Kazmi Brothers 110 label. This creative noha is composed by Janab Raza Shah, and the lyrics are beautifully penned by Allama Akhtar Abbas Zaidi.
Bismillah Alamdar Details:
Noha: Bismillah Alamdar
Recited by: Kazmi Brothers (Syed Aman kazmi , Syed Amar Ali Rab kazmi, Syed Moazzam Ali Kazmi)
Compose: Janab Raza Shah
Lyrics: Allama Akhtar Abbas Zaidi
Label: Kazmi Brothers 110
Bismillah Alamdar Lyrics
Abbas (a)
Ya Abbas Ya Abbas (a)
Subah-e-Ashoor pukare yeh Sheh-e-Karb-o-Bala
Ho kahan baazu-e-Shabbir (a), Sakina ke chacha
Aaya Shabbir ki aawaz pe woh Rab-e-Wafa
Sheh pukare: "Ae mere bhai, ae Baba ki dua"
Fatima (a) Zahra ki umeed bano
Afsar-e-lashkar-e-tauheed bano
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah Alamdaar
Afsar-e-foj-e-Khuda, Bismillah Alamdaar
Bismillah Alamdaar, Bismillah Alamdaar
Aks-e-Shah-e-La Fata, Bismillah Alamdaar
Afsar kabhi aisa kisi lashkar ne na paaya
Rutba kabhi aisa kisi safdar ne na paaya
Abbas Ya Abbas (a)
Janisaar unke, wafadaar kahan milta hai
Aap ke jaisa Alamdaar kahan milta hai
Mere Baba ke zabardast pisar
Ae mere bhai, mere zor-e-qamar
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah Alamdaar
Sheh bole: yeh farmaan-e-Khuda wand-e-jali hai
Farzand-e-Nabi main hoon, tu farzand-e-Ali (a) hai
Tu agar Noor-e-Jali hai to jali ban ke dikha
Baith Ashhal pe zamanay ko Ali (a) ban ke dikha
Maut ko aa gayi yeh sun ke qaza
Choom kar Ghazi (a) ko Sarwar ne kaha
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah Alamdaar
Sultano ke Sultan ne, Waliyon ke Wali ne
Maanga hai tumhe apni duaon mein Ali (a) ne
Abbas Ya Abbas Ya Abbas (a)
Parcham-e-Azmat-e-Tauheed ke Haqdaar ho tum
Main hoon miyaar-e-Khuda, aur mera miyaar ho tum
Badr mein arsh se utra jo alam
Sopte hain woh tumhe aaj se hum
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah Alamdaar
Dum kis mein hai jo nazron se teri nazrein milaye
Haibat teri toofanon ko khaatir mein na laaye
Abbas Ya Abbas (a)
Tu agar chahe to baazi ko palat sakta hai
Jumbish-e-abroo se konain ulat sakta hai
Aao Baba ki zirah bhi pehno
Dosh par unki abaa bhi pehno
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah Alamdaar
Sah paaon ga kaise main bhala teri judaai
Kis dil se tujhe kar doon main rukhsat mere bhai
Abbas Ya Abbas
Jao ab bint-e-Payambar se basharat le lo
Jis ne paala hai tujhe us se ijaazat le lo
Maan ne haathon se jo karta tha siya
Kehna Shabbir ne woh maang liya
Abbas Abbas Abbas, Bismillah
Sun kar yeh bayan Zainab-e-Muztar ne sada di
Pardes mein yeh kaisi khabar haaye suna di
Abbas Ya Abbas
Kyunkar kar dil-e-umeed-e-jahan toad rahe ho
Sunti hoon ke ab tum bhi humein chhod rahe ho
Aur phir Bibi ne ro kar Akhtar
Ek taweez yun baandha keh kar
Abbas Abbas Abbas (a), Bismillah
Written by: Allama Akhtar Abbas Zaidi