Hota Hai Pamal Hussain Lyrics is a beautiful Noha recited by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris label. This creative noha is composed by Farhan Ali Waris, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi.
Hota Hai Pamal Hussain Details:
Noha: Hota Hai Pamal Hussain
Recited by: Farhan Ali Waris
Compose: Farhan Ali Waris
Lyrics: Zeeshan Abidi
Label: Farhan Ali Waris
Hota Hai Pamal Hussain Lyrics
Haaye
Kitna mazloom hai Shabbir (a.s) suno ahl-e-aza
Tera zarbon se gala Shimar ne jab kaat diya
Bekafan laash ke nazdeek bin-e-Saad aaya
Choor zakhmon se badan dekh ke bhi dil na bhara
Hukm paamaali ka zaalim ne diya yeh keh ke
Hukm paamaali ka zaalim ne diya yeh keh ke
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Haaye
Sab se wazni hain jo rahwaar unhein bulwaao
Aur kuchalne mein jo maahir hain woh ghoray laao
Meekh pihwast karo unke sumon ke neeche
Naal bandi karo phir ran mein unhein le aao
Laash-e-Sarwar (a.s) pe se ghordon ko guzaro aise
Laash-e-Sarwar (a.s) pe se ghordon ko guzaro aise
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Haaye
Zulm itna karo Shabbir (a.s) ke is laashe par
Pasliyan toot ke ho jaayein idhar aur udhar
Jaise no laakh ne maqtil mein isey maara tha
Ek baar aur isey gher ke maaro milkar
Tohfa Haakim se main dilwaaoon ga lekin pehle
Tohfa Haakim se main dilwaaoon ga lekin pehle
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Haaye
Chahta hoon ke isey dhoondhne jab aaye behan
Woh bhi mar jaaye yahaan dekh ke yeh kuchla badan
Khoon hi khoon nazar aaye use bhai ka
Dena chahe bhi to naa de sake woh isko kafan
Usne phir paon rakha seene pe yeh kehte hue
Usne phir paon rakha seene pe yeh kehte hue
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Haaye
Aag khaimon ko lagaani hai to aage aao
Jo Madine mein hua zulm wohi dohraao
Wahan darwaze pe chalte thay Madine wale
Tum yahaan laash pe se ghorde guzare jaao
Itni takleef do maa (s.a) yaad isey aane lage
Itni takleef do maa (s.a) yaad isey aane lage
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Shimar ne kaata gala seene pe charh kar uske
Khinchi Sannan ne gardan ki ragein neze se
Kaati Bunjdil ne angothi ke liye ungli bhi
Khooli sar le gaya tandoor mein rakhne ke liye
Reh gaye thay jo unhein bheja gaya yeh keh ke
Reh gaye thay jo unhein bheja gaya yeh keh ke
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Kaise Zeeshan likhe, kis tarah Farhan padhe
Saare ghorde badan-e-Shah (a.s) ki jaanib daude
Pasliyan toot gayi maa ki tarah betay ki
Bekafan laash pe rahwaron ne jab sum patkhe
Pisar-e-Saad yahi kehta raha hans hans ke
Pisar-e-Saad yahi kehta raha hans hans ke
Pasliyan tootain to awaaz sunayi de mujhe
Zahra (s.a) ka laal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Hota hai paamaal Hussain (a.s)
Written by: Zeeshan Abidi