Mere Naseeb Main Karbala Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Raza Abbas Zaidi is presented by the Syed Raza Abbas Zaidi label. This creative noha is composed by Syed Raza Abbas Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Janab Zeeshan Abidi.
Mere Naseeb Main Karbala Details:
Noha: Mere Naseeb Main Karbala
Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi
Composed by: Syed Raza Abbas Zaidi
Lyrics: Janab Zeeshan Abidi
Label: Syed Raza Abbas Zaidi
Mere Naseeb Main Karbala Lyrics
Bohat udaas hoon aur dil tarap raha hai mera
Bari tamanna thi dekhoon ga aapka rozah
Main dekhta raha sab ja rahe thay aye Molaؑ
Kyun is baras bhi nahi ja saka main Karbobala
Mere naseeb mein kya Karbala nahi Molaؑ
Ghulam aap se ab tak mila nahi Molaؑ
Main maatami hoon bula lein mujhe bhi rozay par
Lahoo bahaaya hai apne watan mein reh ke magar
Haram mein aap ke pursa diya nahi Molaؑ
Main chal raha hoon jalooson mein Arbaeen ke din
Hai yeh bhi aap ke hi ishq ka safar lekin
Najaf se Karbala paidal chala nahi Molaؑ
Chhupa rakhi hai ziarat ki aarzu mann mein
Bohat ghareeb hoon kuch bhi nahi hai daaman mein
Siwa tumhare kisi se kaha nahi Molaؑ
Dikha dein mo'jza ek baar Karbala aaon
Ya main bhi Sughraؑ ki tarah watan mein mar jaoon
Aur intezar ka ab hosla nahi Molaؑ
Haram mein aath Muharram alam uthana hai
Maqaam-e-Akbarؑ o Asgharؑ bhi mujhko jana hai
Main khaima gaah bhi ab tak gaya nahi Molaؑ
Bula lo wastah Ghaziؑ ke zakhmi chehray ka
Zameen pe chehray ke bal zain se jis tarah wo gira
Kata ke haath koi bhi gira nahi Molaؑ
Yeh zaireen se main ne suna hai rote hue
Hussainؑ aap jahan teen roz pyase rahe
Wahan unhein koi pyasa dikha nahi Molaؑ
Hai intezar mein Zeeshan Abidi kab se
Habibؑ se kahein Aashura par bula lein mujhe
Raza ka naam bhi ab tak likha nahi Molaؑ
Written by: Janab Zeeshan Abidi