Sham Jana Hai Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Irfan Haider is presented by the Syed Irfan Haider label. This creative noha is composed by Daniyal Hassan & Mesum Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi.
Sham Jana Hai Details:
Noha: Sham Jana Hai
Recited by: Syed Irfan Haider
Compose: Daniyal Hassan & Mesum Zaidi
Lyrics: Zeeshan Abidi
Label: Syed Irfan Haider
Sham Jana Hai Lyrics
Labbaik Ya Zainab (s.a)
Labbaik Ya Zainab (s.a), Labbaik Ya Zainab (s.a),
Labbaik Ya Zainab (s.a), Labbaik Ya Zainab (s.a)
Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s)
Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s),
Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s)
Saqa-e-Sakina (s.a)
Ae Saakin-e-Madina,
Saqa-e-Sakina (s.a),
Ae Saakin-e-Madina
Har Hussaini dil ki tum ho aas Ya Hazrat Abbas (a.s)
Mo’jza koi dikha do, Shaam ka phir humein zawwar bana do
Mola Abbas (a.s), Mola Abbas (a.s), Mola Abbas (a.s)
Tum ko Sakina (s.a) ka wastaa
Shaam jaana hai, Shaam jaana hai
Shaam jaana hai, Shaam jaana hai
Saqa-e-Sakina (s.a)
Ae Saakin-e-Madina
Hogayi hogayi dekho phir ek baar akeli Zainab (s.a)
Yaad aati hai azaadaron ko Bibi Zainab (s.a)
Aap ko chadar-e-Zainab (s.a) ki qasam hai Mola (a.s)
Band hai Bibi ka darbaar, yeh gham hai Mola (a.s)
Ab na Shehzadi ke gunbad pe alam hai Mola (a.s)
Woh alam phir se sajado
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Shaam jab Karbala hote hue jaoonga
Aap ki qabr se mashkiza mein bhar laaoonga
Turbat-e-Baali Sakina (s.a) pe kahoon ga Bibi
Mola Abbas (a.s) ne bheja hai tumhe yeh paani
Ab talak Shaam ke zindaan mein hai jo pyaasi
Us bhteeji se mila do
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Phir Sakina (s.a) ke roze pe giriya karein
Chaahte hain ke hum munh ka pursa karein
Dil tarapta hai humko bata dijiye
Shaam jab yaad aaye toh hum kya karein
Zakhmi kaano ka hai aap ko waasta
Mola Abbas (a.s), Mola Abbas (a.s)
Phir se ek baar Halab ja ke ziarat karlein
Shah (a.s) ka sar jahan rakha tha, woh pathar choomein
Ab bhi aati hai jahan Mola ke khoon ki khushboo
Halqa-e-Matam-e-Shabbir (a.s) bana kar har soo
Is tarah noha padhein aur bahaayein aansoo
Tum humein aake dua do
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Jab mujhe jab mujhe Shaam ke bazaar ki yaad aati hai
Mola Abbas (a.s), meri jaan nikal jaati hai
Aap ki behnein jahan laayi gayi be-chaadar
Phainki sadqe ki khajooren, kabhi maare pathar
Haath rehta tha Sakina (s.a) ka jahan chehre par
Tum woh bazaar dikha do
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Amma Fizza (s.a) ki lahd dekh loon aur Sheereen ka ghar
Mola phir Shaam ka darbaar bhi dekhun ja kar
Hans ke zaalim ne jahan naam liya Zainab (s.a) ka
Aur kaneezi mein Sakina (s.a) ko jahan maanga gaya
Khoon rote rahe Sajjad (a.s) jahan par tanha
Izn Zainab (s.a) se dila do
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Kijiye, kijiye Hazrat Abbas Alamdar (a.s) madad
Dekhein Zainab (s.a) ka haram, aur Sakina (s.a) ki lahd
Hai yeh Zeeshan aur Irfan-e-Aza ka wada
Shaam jis roz bhi dono ka bulawa hoga
Bibiyaan (s.a) ke liye hum apne watan se wallah
Le ke jaayein ge rida do
Shaam ka phir humein zawwar bana do
Written by: Syed Irfan Haider