Ya Abbas (as) Ya Abbas (as) Lyrics is a beautiful Noha recited by Mir Qasim Mir is presented by the Mir Hasan Mir label. This creative noha is composed by Mir Sajjad Mir, and the lyrics are beautifully penned by Janab Mir Takallum.
Ya Abbas (as) Ya Abbas (as) Details:
Noha: Ya Abbas (as) Ya Abbas (as)
Recited By: Mir Qasim Mir
Poet: Janab Mir Takallum
Composition: Mir Sajjad Mir
Ya Abbas (as) Ya Abbas (as) Lyrics
Ae Shair e Nayastan e Haider Abbas
Meri Bigdi Bana Daina
Meri Baat Bana Daina
Ya Abbas Ya Abbas
Ya Abalfazl Al Abbas
Ahl e Aza Ka Tum Ho Bharosa
Tute Dilon Ki Aas Ya Abbas
Jo Manga Hai Tum Se Manga Tum Dete Ho Ghazi
Dunya Samje Ya Na Samje Tum To Samajte Ho Ghazi
Koi Nahi Hai Mujh Ko Yaqeen Hai
Tum Jaisa Hasas, Ya Abbas
Bhai Ke Chahre Se Pareshani Ko Tune Door Kiya
Ahl e Muwadat Ko Mushkil Ke Hal Ka Ye Dastoor Diya
Kashif e Qarbi Ikshif Qarbi
Aik Wazifa Khas, Ya Abbas
Ya Syadi Ya Abbas
Ya Abalfazl Al Abbas
Be Saharo Ke Liye Tu Hai Sahara Abbas
Tu Hai Mazloomo Ki Qismat Ka Sitara Abbas
Sari Dunya Me Kahin Jab Bhi Koi Zulm Huwa
Tujh Ko Masoomo Ne Ro Ro Kar Pukara Abbas
Hoti Hai Jab Chashm e Enayat Dil Ki Kali Phir Khilti Hai
Rozi Roti Izat Azmat Aap Ke Dar Se Milti Hai
Saniye Haider Likh Do Mukadar
Le Kar Klam Qirtas, Ya Abbas
Lashkar e Ada Ki Zad Par Phir Shahzadi Ka Roza Hai
Jan Se Jo Pyari Hai Tumhe Phir Se Wo Sakina Tanha Hai
Mahdi e Deen Ko Izn Ata Ho
Mazloomo Ki Aas, Ya Abbas
Gham Gusaron Ko Aziyat Se Bachane Wale
Be Khata Sare Aaseron Ko Chodane Wale
Har Azadar e Hussain Ibn e Ali Par Ho Karam
Ae Katte Hathon Se Taqdeer Bnane Wale, Ya Abbas
Majlis Matam Karne Wale Apni Murade Laye Hain
Hathon Ko Phailaye Huwe Yun Dar Pe Tumhare Aaye Hain
Jis Ko Khuda Se Manga Ali Ne
Tum Ho Wo Alfaaz, Ya Abbas
Rahte Hain Masoom Jahan Par
Hum Bhi Wahan Par Jayen Ge
Kab Se Hain Pardais Me Mola
Loot Ke Kab Ghar Jaye Ge
Shair e Dilawar Saqi e Kosar
Dil Bojado Pyas Ya Abbas
Fakhr Se Dekhte Hain Shah e Madina Ghazi
Ap Dono Ki Mohabat Ka Karina Ghazi
Tere Parcham Se Bandhi Mashq Ko Daika To Laga
Tujh Se Lipti Hai Teri Pyasi Sakina Ghazi, Ya Abbas
Pyase Bache Tum Se Hi Umeed Lgaye Baithe The
Mola Ko Jab Aate Daika Thame Alam Ke Kuchh Tukde
Tishna Labon Ki Masoomo ki
Toot Gayi Thi Aas, Ya Abbas
Gyaran Muharram Ko Maktal Se Bint e Ali Jab Guzri Thin
Bazo Burida Daikh Ke Tere Aahain Bar Kar Kahti Thin
Uth Gaya Bhaiya Baap Ka Saya
Aaj Huwa Ehsas, Ya Abbas
Aap Ka Parcham Nisf Huwa Hai Jis Jis bhi Ghar Par Ghazi
Mir Takalum Ki Hai Dua Abad Rahe Wo Ghar Ghazi
Apne Alam Ka Saya Rakhna
Haider Ke Akaas, Ya Abbas
Written by: Janab Mir Takallum