Follow my blog with Bloglovin

Also Like

Ya Ali (as) Madad Lyrics - Syed Irfan Haider & Syed Nad e Ali Rizvi | New Noha 2025

Ya Ali (as) Madad Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Irfan Haider & Syed Nad e Ali Rizvi is presented by the Irfan Haider label. This creative noha is composed by Mesum Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi AlArabi.


Ya Ali as Madad Lyrics Syed Irfan Haider & Syed Nad e Ali Rizvi


Ya Ali (as) Madad Details: 

Noha: Ya Ali (as) Madad
Recited by: Syed Irfan Haider & Syed Nad e Ali Rizvi
Compose: Mesum Zaidi 
Lyrics: Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi AlArabi
Label: Irfan Haider

Ya Ali (as) Madad Lyrics 

Ya Haider (a.s)! Ya Haider (a.s)! Ya Haider (a.s)! Ya Haider (a.s)! Ya Haider (a.s)!
Haider (a.s)! Ali Mola (a.s)! Ali Mola (a.s)! Haider (a.s)!

Alhamdulillah allazi ja'alana minal mutamassikeena bi wilayat-e-Ameerul Momineen Ali ibn-e-Abi Talib (a.s)

Ali Haider (a.s)! Haider (a.s)!
Ali Mola (a.s)! Haider (a.s)! Ali Mola (a.s)! Haider (a.s)!
Ali ibn-e-Abi Talib (a.s)! Ghalib 'ala kull-e-ghalib!

Agha Janam! Agha Janam! Agha Janam! Ya Ali (a.s)!
Ishq-e-Ali (a.s) – Rehmatullah (Ali a.s Ali a.s)
Bughz-e-Ali (a.s) – La’anatullah!

Haan main madhosh hoon, main jaam-e-wilayat pee kar – (Ya Ali a.s!)
Baitha hoon dar-e-ishq pe misl-e-Qanbar (a.s)
Mat chhedo mujhe, main sag-e-Haider hoon, molai hoon
Abbas (a.s) ke Baba (a.s) ka main aashiq hoon, jalali hoon

Haan log deewana o mastana samajhte hain mujhe
Aur main Hazrat-e-Behlool ki danai hoon
Mera Qibla hai Najaf, aur manzil hai Ali (a.s)
Jo dhadakta hai mere seene mein, woh dil hai Ali (a.s)

Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali

Mujh ko pehchaan le duniya, mujh ko pehchaan le duniya – main Ali wala hoon
Jod kar haath main karta hoon salaam, aur kehta hoon – Ya Ali madad! Haider!
Ya Ali madad! Haider!

Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali madad!
Ya Ali (a.s), mujh ko tere ishq-e-muqaddas ki qasam – (Ya Ali a.s!)
Tu ne har daur mein rakha hai malangon ka bharam
Laal Shahbaz Qalandar bhi yahi kehte hain:

Haider yam! Qalandar am! Mastam!
Ba Khuda aaj bhi Sehwan se yeh aati hai sada,
Aasmanon mein yahi kehte hue main urta hoon!

Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali madad!
Ouj lagta hai mujhe daar pe aana mera
Ya Ali (a.s), aap ki na’lain thikaana mera
Jo bhi munkir hai usay maut nazar aata hai
Na’ra-e-Haider-e-Karrar lagana mera – (Na’ra-e-Haidari! Ya Ali a.s!)

Muskura kar yeh sar-e-daar kaha Maisam ne
Wird yeh karte hue, main bhi yahan tak pohancha hoon!

Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali madad!
Saari duniya ne yeh ilzam lagaya mujh par
Main ne iqraar kiya – main hoon Ali ka naukar!
Dost ahbaab halalÄ« bhi hoon, mola’i bhi
Baith kar shaam-o-sehar karte hain – Haider Haider!

Bas wohi shakhs mujhe apna nazar aata hai
Jis ke paakiza labon se main yeh jumla sunta hoon:

Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali madad!

Kaash din aisa bhi aaye ke Ali (a.s) mujh se kahein:
“Aa ke mimbar pe meri jang sunao mujh ko”
Kaisa lagta hoon main jab mujh pe jalaal aata hai
Ran mein jab Hazrat-e-Imran ka Laal (a.s) aata hai
Un ke qadamoun se lipat kar yeh kahoonga Mola (a.s):
“Jang larna koi seekhe to Ali (a.s) se seekhe”

Jis ke chehre se chhalakte hon ilaahi tewar
Aur lehje se dehal jaayein lashkar ke jigar
Tegh haathon mein jo aa jaye to kahe jinn o bashar
“Alamaan Sher-e-Khuda! Fatih-e-Khaibar! Haider!”

Tera jumla meri Sarkar, nahi rokk saka
Aaj tak koi tera waar nahi rokk saka!

Ali Wali Ullah! Ali Karram Allah!
Ali Asadullah! Ali Wajhullah!
Ali ‘Aynullah! Ali Janbullah!
Ali Babullah! Ali Izzatullah!

Sher-e-Jari tu hai, nafs-e-Nabi tu hai!
Khaibar mein utri jo – Nade Ali tu hai!
Jab bhi koi mushkil aayi to, Mola ji, maine kaha – Ya Ali madad!
Aag se tu ne hi Ibrahim ko bachaya
Aur Hazrat-e-Yaqub ko Yusuf se milaya
Tu sab ki madad karta raha jis ne pukara – haan! Ya Ali madad!

Haan, Akhtar aur Irfan-e-Aza – Naad-e-Ali par
Khaas karam hai yeh tera, Saqi-e-Kausar (a.s)!
Aate hain majlis mein yeh jab bar-sar-e-mimbar
Hota hai sab ke labon par – Ali Haider! Haider!

Ali Haider! Haider! Ali Haider! Haider! Ali Haider! Haider!

Written by: Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi AlArabi


Ya Ali (as) Madad Video



Arslan Khalid
Arslan Khalid
Arslan's blog isn't just about sharing knowledge and building a community. I actively engage with my audience, encouraging feedback and fostering discussions. Through my blog, I seek to inspire, empower, and entertain my readers, igniting their curiosity and encouraging them to explore new ideas.
Comments