Abbas Hai Na Lyrics is a beautiful Noha recited by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris label. This creative noha is composed by Abid Mehar Ali, and the lyrics are beautifully penned by Mazhar Abidi.
Abbas Hai Na Details:
Noha: Abbas Hai Na
Recited by: Farhan Ali Waris
Composed by: Abid Mehar Ali
Lyrics: Mazhar Abidi
Label: Farhan Ali Waris
Abbas Hai Na Lyrics
Haaye
Sab ki ridaon ka nigehdaar hai
Ghaazi (a.s) mera aisa wafadaar hai
Cheen nahi sakta koi chaadrein
Jab talak Abbas (a.s) Alamdaar hai
Yeh keh ke behno ko
Yeh keh ke behno ko Zainab (s.a) ka tasalli dena
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Har ek behan ko bhai pe maan hota hai
Jahan mein bhai to behno ki jaan hota hai
Ghamon ki dhoop mein woh saaye-baan hota hai
Bas is yaqeen se khemoon mein mutmain rehna
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Haram ki aas bandhaati raho meri khwahar
Batao in ko bharosa kitna Ghaazi (a.s) par
Rahen woh baazu salaamat dua karo mil kar
Nazar utha ke dar-e-khaimah par to dekho na
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Isi ke saath umaari mein aayin thein ghar se
Bohat mujhe bhi hai dhaaras isi baradar se
Na hone dega woh mehroom hum ko chaadar se
Barhein jo ranj ke saaye to bas yahi kehna
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Dikhaayi de tumhein jis dam Yazeed (la’nat) ka lashkar
Dikhaayein woh tumhein talwar o neiza o khanjar
Chamakte neizon pe parh jayein gar tumhari nazar
Tum apne dil mein jagah khauf ko nahi dena
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Kaha yeh Ghaazi (a.s) ne Kulsoom (s.a) se meri khwahar
Fida Hussain (a.s) pe har maa karegi apne pisar
Jo tere betay nahi hain to koi gham na kar
Teri taraf se fida Shah (a.s) pe hone ko behna
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Phuphi yeh boli Sakeena (s.a) se ae meri bachi
Chacha (a.s) se keh do woh le aayein ge abhi paani
Yeh mashk kya hai woh darya utha ke la de abhi
Bas apni aankh mein aansoo nahi aane dena
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Bayaan kaise woh manzar ho dono janib ka
Udhar tarai pe Ghaazi (a.s) ka mashk ko bharna
Kate jo baazu chhidi mashk, saara paani baha
Idhar Sakeena (s.a) ka pyaason ko dilasa dena
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Tere hasham pe hain qurbaan Mazhar o Farhan
Alam gharon pe lagata hai aaj saara jahaan
Hai tu hi ab bhi ghareebon ka, bekason ka maan
Alam ko dekh ke har waqt bas yahi kehna
Abbas (a.s) ye na
Abbas (a.s) ye na
Yeh keh ke behno ko Zainab (s.a) ka tasalli dena
Abbas (a.s) ye na
Written by: Mazhar Abidi