Follow my blog with Bloglovin

Also Like

Akhri Sajda Lyrics - Nadeem Sarwar | New Noha 2025

Akhri Sajda Lyrics is a beautiful Noha recited by Nadeem Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri (Special Thanks  - Dr Hilal Naqvi).


Akhri Sajda Lyrics Nadeem Sarwar


Akhri Sajda Details: 

Noha: Akhri Sajda
Recited by: Nadeem Sarwar
Composed by: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee
Lyrics: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri (Special Thanks  - Dr Hilal Naqvi)
Label: Nadeem Sarwar

Akhri Sajda Lyrics 

Hilne Laga Arsh e Barin
Rone Lagi Karbala
Lakhon Katilon Main Tha
Magar Ye Sach Hai ba Khuda
Koi Na Hussain Or
Khuda Ke Darmayan Tha
Sajde Main Hussain The
Labon Pe Thi Yehi Sada

Le Ae Mere Allah Ab Tere Hawale
Malik Tera Banda Ab Tere Hawale
Arre Zindagi Se Sair Ho Chuka
Kar Raha Hon Aakhri Sajda

Subhana Rabbi Al Aala

Asar Ki Sunta Hon Sada e Azan
Aakhri Dena Hai Mujhe Imtehan
Charon Taraf Teeron Sina Barchhiyan
Hain Ye Mere Qatal Ki Tyariyan

Jante Hain Kis Ka Nawasa Hon Main
Jante Hain Kis Liye Aaya Hon Main
Tera Hi Paigham Sunata Hon
Phir Bhi Sitam Ka Hi Nishana Hon Main

Na Mera Ghar Bar na Lashkar Raha
Arre Akbar O Abbas Ka Gham Kha Gya
Itne Sitam Dil Pe Main Sehta Raha
Shukr Hai Wada To Wafa Ho Gya

Yad Rakhe Ga Ye Zamana Sada
Kaise Hamen Dasht Main Luta Gya
Kaise Hamen Nehr Pe Pyasa Rakha
Kaise Mera Aakhri Sajda Hua

Khemo Main Kuhram Hai Mere Khuda
Betion Behno Main Hai Matam Bapa
Ghash Main Hai Sajad Akela Mera
Baad Mere in Ka Hai Tu Aasra

Lo Dam e Aakhir Chali Aai Hain Maa
Sath Main Aaye Hain Mere Baba Jan
Bhai Hasan Khak Pe Girya Kuna
Dekhte Hain Nana Mera Imtehan

Jaise Hi Sar Khak Pe Sheh Ne Rakha
Shimr e Lain Shah Ki Janib Badha
Larzi Zameen Khon Barasne Laga
Aakhri Shabbir Ki Gonji Sada

Written by: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri (Special Thanks  - Dr Hilal Naqvi)


Akhri Sajda Video



Arslan Khalid
Arslan Khalid
Arslan's blog isn't just about sharing knowledge and building a community. I actively engage with my audience, encouraging feedback and fostering discussions. Through my blog, I seek to inspire, empower, and entertain my readers, igniting their curiosity and encouraging them to explore new ideas.
Comments