Bhaiya Abbas Lyrics is a beautiful Noha recited by Ali Shanawar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Shanawar.
Bhaiya Abbas Details:
Noha: Bhaiya Abbas
Recited by: Ali Shanawar
Composed by: Ali Shanawar, Nadeem Sarwar & Ali Jee
Lyrics: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Shanawar
Label: Nadeem Sarwar
Bhaiya Abbas Lyrics
Abbas Abbas Abbas Mere Bhaiya
Bazar Main Zainab Hai
Bhaiya Bhaiya Abbas
Mere Bhai Bata Don Kisko Sada
Ab Tere Siwa Abbas
Bhaiya Bhaiya Abbas
Na Sar Pe Tera Saya Na Sar Pe Rida Ghazi
Majma Hai Tamashai Aati Hai Haya Ghazi
Aa Ghazi Aa Mere Bhai Aa Deti Hon Sada Abbas
Ghazi Mere Baba Ki Jis Shehr Main Thi Shahi
Us Shehr Main Qaidi Hai Us Shehr Ki Shehzadi
Tere Baad Mera Kya Haal Hua Aa Dekh Zara Abbas
Main Tere Sahare Par Pardais Chali Aai
Kuchh Bhi Na Raha Mera Jab Tuna Raha Bhai
Bin Tere Safar Or Be Chadar Dil Toott Gya Abbas
Sajjad Na Bhule Ga Yun Shaam Shehr Aana
Bazar Nibha Aai Darbar Hai Ab Jana
Wada Ho Wafa Bhai Se Mera Karna Ye Dua Abbas
Kehna Mere Bhaiya Se Sharminda Ye Behna Hai
Sonpa Tha Jise Mujh Ko Zakhmi Wo Sakina Hai
Masooma Ko Mazlooma Ko Zindan Mila Abbas
Written by: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Shanawar