Labbaik Ya Abbas as Lyrics is a beautiful Noha recited by Ali Jee presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee.
Labbaik Ya Abbas as Details:
Noha: Labbaik Ya Abbas as
Recited by: Ali Jee
Composed by: Ali Jee, Nadeem Sarwar, Ali Shanawar
Lyrics: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee
Label: Nadeem Sarwar
Labbaik Ya Abbas as Lyrics
Abbas
Abbas
Abbas
Labbaik Ka Ya Abbas
Hum Aashiqan e Bawafa Ki
Aa Rahi Hai Ye Sada
Labbaik Ka Ya Abbas
Ya Abbas e Alamdar
Jaise Hi Mere Lab Par Abbas Ka Naam Aaya
Abbas Ke Parcham Ka Mere Sar Pe Hua Saya
Ek Noor e Wafa Phela Mere Dil Ne Sakoon Paya
Noori Nazara Hai Abbas
Haideri Jalwa Hai Abbas
Dilbar e Zehra Hai Abbas
Sath Hamesha Hai Abbas
Labbaik Ka Ya Abbas
Labbaik Ka Ya Abbas
Labbaik Ka Ya Abbas
Labbaik Ka Ya Abbas
Do Shair Hain Dunya Main Jis Ka Na Koi Sani
Ek Shair e Khuda Haider Ek Shair e Ali Ghazi
Mashhor e Zamana Hai Dono Ki Alamdari
Ghazi Ali Ka Hai Sarmaya
Ghazi Hussain Ka Hai Saya
Ghazi Hai Shair e Karbobala
Mola Hamara Hai Abbas
Jab Bhi Gham e Dunya Se Ye Dil Mera Ghabraya
Main Apni Duaon Main Abbas Ko Le Aaya
Ye Wasta Ghazi Ka Mere Kaam Bada Aaya
Gham Ka Madawa hai Ghazi
Mera Bharosa hai Ghazi
Mera Aqeeda Hai Ghazi
Rab Ka Waseela Hai Abbas
Labaik Sunu!
Abbas Wafaon Ka Paikar Hai
Abbas Jalal e Haider Hai
Har Dil Main Dhadakta Hai Ghazi
Abbas ka Charcha Ghar Ghar Hai
Jis Din Se Alamdari Ka Sharaf
Shabbir Se Tum Ne Paya Hai
Us Din Se Le Kar Aaj Talak
Labaik Hamare Lab Par Hai
Jab Karbobala Mola Ham Ko Bhi Bulayen Ge
Abbas Ke Roze Par Labaik Pukaren Ge
Ham Samne Ghazi Ke Noha Ye Sunayen Ge
Samne Pak Harm Hoga
Shah e Wafa Ka Gham Hoga
Zair e Alam Matam Hoga
Wada Hamara Hai Abbas
Jab Sham e Ghareeban Main Ghurbat Ghatta Chhai
Noha Tha Ye Zainab Ka Abbas Mere Bhai
Jab Chadar Chhinti Thi Teri Yaab Bohat Aai
Haye Wo Zainab Ka Noha
Or Tadapna Ghazi Ka
Gham Ye Tumhara Hai Mola
Aaj Bhi Taaza Hai Abbas
Aashiqan e Bawafa
Ki Gunjti Rahe Sada
Written by: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee