Sajjad Ki Manzil Lyrics is a beautiful Noha recited by Rahat Fateh Ali Khan & Shahzaman Ali Khan presented by the Rahat Fateh Ali Khan label. This creative noha is composed by Rahat Fateh Ali Khan, and the lyrics are beautifully penned by Salamat Feroz.
Sajjad Ki Manzil Details:
Noha: Sajjad Ki Manzil
Recited by: Rahat Fateh Ali Khan & Shahzaman Ali Khan
Composed by: Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics: Salamat Feroz
Label: Rahat Fateh Ali Khan
Sajjad Ki Manzil Lyrics
Sajjad ki manzil bhaari hai
Be-parda maaon behno ka,
saalaar bhi hai,
gham-khwaar bhi hai
Na-mahram majma ke andar,
ghayoor bhi hai,
beemaar bhi hai
Be-sar laashe bhi kehte thay,
har nok-e-sinaan se
Maqtal mein har sar se sadaa yeh aati hai
Sajjad ki manzil bhaari hai
Gardann mein wazni tauq liye,
woh girta raha phir uthta raha
Har qadam pe durray seh seh kar,
jaane woh kaise chalta raha
Karbala mein luta hai ghar ka ghar
Hai jism-e-athar khoon mein tar
Aur be-hoshi bhi taari hai
Sajjad ki manzil bhaari hai
Rukhsaar lahoo mein doobay hain
Woh Shimr se khud ko chhupaati hai
Koi meri madad ko aa jaaye
Woh bhaai ko bulwati hai
Woh khud rassiyon mein paaband hai
Usay Shimr se kaise chhuraaye woh
Jo usko jaan se pyaari hai
Sajjad ki manzil bhaari hai
Tha Shaam ka manzar aankhon mein
Chalees baras tak khoon baha
Na rooh mein raahat us ke rahi
Na chain salaamat us ka raha
Rang zard hua, beenaai gayi
Beemaar ke daaman mein ab tak
Bas giriya, aah-o-zaari hai
Sajjad ki manzil bhaari hai
Be-parda maaon behno ka,
saalaar bhi hai,
gham-khwaar bhi hai
Na-mahram majma ke andar,
ghayoor bhi hai,
beemaar bhi hai
Be-sar laashe bhi kehte thay,
har nok-e-sinaan se
Maqtal mein har sar se sadaa yeh aati hai:
Sajjad ki manzil bhaari hai
Written by: Salamat Feroz