Mera Hi Naam Abbas Hai Lyrics - Farhan Ali Waris | New Noha 2024
Mera Hi Naam Abbas Hai Lyrics is a beautiful Noha Recite by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris Records label. This creative noha is composed by Syed Hassan Ayaz Jaffri, and the lyrics are beautifully penned by Gohar Jarchvi. Safdar Kaleem has skillfully directed the noha video for Mera Hi Naam Abbas Hai.
Mera Hi Naam Abbas Hai Noha Details:
Noha: Mera Hi Naam Abbas Hai
Reciter: Farhan Ali Waris
Poetry: Gohar Jarchvi
Composed by: Syed Hassan Ayaz Jaffri
Director: Safdar Kaleem
Label: Farhan Ali Waris Records
Mera Hi Naam Abbas Hai Lyrics
Maidan Main Aaya Haider Ka Sher
9 Lakh Lashkar Karne Ko Zair
Mashko Alam Ko Utha Kar
Sar Pe Rajaz Ye Saja Kar
Main Waris e Zoor e Haider Hon
Sani e Hamza O Jaffar Hon
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Mera Baba Ali Maa Hain Umul Baneen
Hon Alamdar e Karbobla
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Mera Aaqa Hai Wo Jis Ke Aage
Sar Aadab Se Jhukata Hai Kaaba
Mere Seene Main Imran Ka Dil
Khoon Ragon Main Hai Sher e Khuda Ka
Gar Badhaon Qadam Kis Main Hai Itna Dam
Rook Le Aake Rasta Mera
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Mujh Ko Talwar Ki Kya Zaroorat
Main Nigahon Se Dil Kaat Don Ga
Dekhna Dekhte Dekhte Hi
Dasht Lashon Se Main Paat Don Ga
Hukm e Mola Nahi, Warna Main To Yehin
Khainch Don Naksha Safeen Ka
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Soch Kar Tum Jo Akde Khade Ho
Main Akela Hon Tum Itne Sare
Lakh Do Lakh Se To Akele
Jang Karte Hain Bache Hamare
Mir e Lashkar Hon Main
Sher e Haider Hon Main
Kon Mujh Se Lade Ga Bhala
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Do Rukhi Or Aal e Nabi Se
Is Ka Matlab Bhi Samjhaon Ga Main
Lakh Paaon Pade Ab Ye Darya
Mashk Main Bhar Ke Le Jaon Ga Main
Pyas Ki Qaid Main, Yaas Ki Qaid Main
Ab Rahe Ga Ye Darya Sada
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Shamion Jang Karne Ki Mujh Ko
Mere Mola Ejazat Jo Dete
Aaye Gi Kis Tarhan Se Qayamat
Apni Aankhon Se Tum Dekh Lete
Aati Jaan Se Kabhi, Aasma Se Kabhi
Al Hazr Al Ama Ki Sada
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Kanp Kar Reh Gaya Dil Zameen Ka
Arsh Larzan Falaq Thar Tharaya
Jhoom Kar Zaigham e Murtaza Ne
Itna Keh Kar Jo Naiza Uthaya
Jaise Taigh e Ali Gardan o Par Chali
Yun Chale Ga Ye Naiza Mera
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Meri Talwaar Ke Har Nisha Par
Sab Ne Dekhi Ali Ki Nishani
Main Ne Paya Shabab e Shujat
Main Ne Pai Ali Ki Jawani
Mere Har Waar Par
Ud Ke Kehte The Sar
A Gaye Ran Main Sher E Khuda
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Ik Qayamat Hai Farhan o Gohar
Lashkar e Zulm Sehma Huwa Hai
Mashq Main Qaid Darya Ko Kar Ke
Sher Kehta Huwa Ja Raha Hai
Aj Taq Ba Khuda Jo Kaha Wo Kiya
Ham Badalte Nahi Faisla
Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Mera Hi Naam Abbas (a.s.) Hai
Written by: Gohar Jarchvi