Kya Chahiye Lyrics - Usama Ali & Ahad Khan | AUR
Kya Chahiye Lyrics is a beautiful song sung by Usama Ali & Ahad Khan presented by AUR Music label. The music for this captivating track Kya Chahiye has been given by Raffey Anwar, with heartfelt lyrics penned by Usama Ali & Ahad Khan. The music video for Kya Chahiye has been skillfully directed by Mohtashim Farooqui.
Kya Chahiye Song Details:
Song: Kya Chahiye
Lyrics: Usama Ali & Ahad Khan
Music: Raffey Anwar
Videographer: Mohtashim Farooqui
Music Label: AUR
Kya Chahiye Lyrics
Apno Se Rutha Rutha
Phirta Hai Toota Toota
Ab Waqt Nahi Hai
Sanwarayy...
Apno Se Tu Hai Haara
Tu Hai Ek Toota Sitaara
Ab Bhi Sab Wahin Hai
Jaanleyyy...
Ek Raja Ek Rani
Ek Tu Hai Ek Kahani
Mujhe Tere Siwa Kya Chahiye
Ek Dard Hai Ek Marham
Ek Marz Hai Ek Humdam
Mujhe Dard Ki Dawa Chahiye
Wo Aaya Nahi Jo Mud Sa Gaya Is Aasma Mein
Wou Urdh Sa Gaya Mujhe Uske Dil Mein Jagah Chahiye
Ek Raja Ek Rani
Ek Tu Hai Ek Kahani
Mujhe Tere Siwa Kya Chahiye
Ek Dard Hai Ek Marham
Ek Marz Hai Ek Humdam
Mujhe Dard Ki Dawa Chahiye
Kya Chahiye
Dil Ko To Teri Panaah Chahiye
Chahay Yahan Ho Chahay Wahan Ho
Mujhe Tou Wou Hansta Huaa Chahiye
Jisko Pata Bhi Nahi Hai Mohabbat Mein Wo Mubtala Chahiye
Wafa'ein Le Aao Zamaane Ki Par Mujhe Wo Bewafa Chahiye
Iss Tarah Chahiye
Ke Jab Wo Mily To Mujhe Yeh Zindagi Saza Na Lagey
Shaam Se Subah Hojae Par Waqt Ka Kuch Bhi Pata Na Lagey
Par Waqt Abhi Beeta Hi Kya Hai
Khushiyon Se Seekha Hi Kya Hai
Jeeta Hai Mene Zamaana Aur Haara Tujhe Hai Tou Jeeta Hi Kya Hai
Aisa Bhi Ho Sakta Hai
Hum Raahon Pe Mar Jaen Aur Phir Hum Ghar Pahunche Hi Na
Wo Rouye Humare Liye Aur Kahay Kaash Usse Khotay Hi Na
Tum Is Tarah Paasthy Mere
Isse Tou Accha Tum Houte Hi Na
Behtar Hi Ye Houga Hum Apne Uss Maazi Ke Baaray Mein Soche Hi Na
Ab Bhoolen Hain Apne Hum Waade
Kissay Wo Saaray Wafa Ke
Dil Pe Lagay Hain Zakhm Tou Mujhe Nahi Kaam Aatay Dilasay
Tunay Jo Chaaha Bura Tou Tunay Bhi Jaanejaan Accha Kiya Hai
Dil Ko Ab Samjhaye Kon Yeh Nadaan Hai Yeh Samajhta Hi Kya Hai
Baaton Mein Rakha Hi Kya Hai
Ek Kamra Hai Aur Kuch Kitabein Aur Ab Un Kitabon Mein Rakha Hi Kya Hai
Kuch Lafz Hain Tere Liye Ek Phool Jo Lagta Hai Murjha Gaya Hai
Ab Lagta Hai Ghar Agya Hai
Bicharne Ka Jaaneja Dil Tou Nahi Hai
Par Janay Ka Lagta Hai Waqt Agaya Hai
Waqt Tou Yeh Sab Khagaya Hai
Safar Jab Mukhtasir Hai Tou Jism Kyun Mera Yeh Thak Sa Gaya Hai
Kahan Ko Kissa Kahan Hai
Jawani Mein Dil Kho Gaya Hai
Haasil Hai Sab Kuch Par Tu Jou Nahi To Lagta Hai Sab Khogaya Hai
Ek Raja Ek Rani
Ek Tu Hai Ek Kahani
Mujhe Tere Siwa Kya Chahiye
Ek Dard Hai Ek Marham
Ek Marz Hai Ek Humdam
Mujhe Dard Ki Dawa Chahiye
Written by: Usama Ali & Ahad Khan