Ads Top

Gareeb Shayari Lyrics - Lashcurry | MTV Hustle 4

Gareeb Shayari Lyrics is a beautiful song sung by Lashcurry and presented by Saregama Music label. The music for this captivating track Gareeb Shayari has been given by Aditya Pushkarna, with heartfelt lyrics penned by Lashcurry.


Gareeb Shayari Lyrics Lashcurry MTV Hustle 4


Gareeb Shayari Song Details: 

Song: Gareeb Shayari
Singers: Lashcurry
Lyrics: Lashcurry
Music: Aditya Pushkarna
Label: Saregama Music

Gareeb Shayari Lyrics 

Main Karta Hoon Ajeeb Shayari 
Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari
Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G 
Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi

Main Karta Hoon Ajeeb Shayari 
Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari
Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G 
Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi

Sawaal Karna Haqq Hai Mera Rakhne Aaya Neev Pakki
Nashe Kar Ke Yuvaon Ki Toot Chuki Reedh Haddi 
Mandiron Ke Baahar Bhikariyon Ki Bheed Lagti 
Netaon Ki Baatein Kyun Ajeeb Lagti 
Yeh Candle Ek Scandal Hai Chhod Do Mombatti 
Yeh Bhagat Wali Qaum Kyun Dhong Pe Maun Rakhti 
Mera Itihaas Kehta Mujh Se Tu Khol De Pol Sabki 
Ab Tu Sikhayega Usey Woh Kya Pehen Aur Odh Sakti

Inn Se Gol Banti Roti Nahi Troll Karta Perfect 
Tu Khana Khaata Time Pe Na Bhoj Karta Bhar Paet 
Boss Karta Tangg Tujhe Roz Karta Frustrate
Roz Paida Hota Banti Maut Meri Birthdate 

Maa Baap Se Badh Ke Dastavez Ho Gaye 
Yeh Saare Western Bann-Ne Ke 
Chakkar Mein Fail Ho Gaye 
Market Thap Poora Share Saare Dher Ho Gaye
Goat Bann-Ne Ki Hoad Mein Ladke Bhed Ho Gaye
Gar Maa Meri Bimaar Toh Kis Baat Ka Intezaar 
Beech Bazaar Mein Chain Luti Daam Tha 20 Hazaar
Zilla Badar Launde Hum Pe Inaam Tha 30 Hazaar
Remand Mein Kheenchi Khaal Bas Jaan Na Nikali Yaar
Peechhe Sahab Ne Chillaya Isko Aur Thoda Maar
Khota Public Aake Bajti Wannabe Lamar

Inka J Alag Cole Alag Vaasta Nahi Hip Hop Se
Indore Se Patna 
Patna Rajdhani Scene Sort Hai 
Yahan Sabhi Ko Hi Behtar Ki Talaash Hai 
Mujhe Ek Rapper Mein Ek Rapper Ki Talaash Hai
Woh Zinda Hai Ya Laash Hai 
Parinda Ek Hataash Hai 
Samandar Mein Bhi Aag Hai 
Woh Sab 
Murajhaye Phool Saara Dosh Aata Maali Pe 
Unn Bhanwaron Ka Kasoor Nahi 
Dikhta Yeh Duniya Jaali Hai
Horn Bajte Gaadi Ke 
Na Koyal Gaati Daali Pe 
Married To The Game 
Poori Royal Wali Shaadi Hai 
Guldasta Hai Sawaal Ka
Phool Accha Hai Sambhaalna
Qudrat Ka Yeh Kamaal Tha
Chhu Sakta Hoon Main Aasmaan 
Munh Lagta Nahi Main Khamakha
Karta Hoon Main Saadhna
Muqadma Ya Phir Khaatma 
Latka Bann Ke Aatma 
Lafda Kar Ke Bhaag Na
Ghanta Ghar Ke Paas Mein 
Laash Mili Poochh-Taachh Na 

Ghapla Karti Aurat Uska Aadmi Khoob Maarta 
Fees Na Milne Pe School Daakhila Kyun Kaat-Ta
Hum Katt Gaye Woh Kaat-Ta
Hum Bant Gaye Woh Baant-Ta
Kisi Kasbe Mein Teacher Apne Bacche Ko Maarta 
Par Jaan Se 
Aur Dhyaan Se 
Suno Aane Wali Baatein 
Sacchi Daastan
Yeh Main Nahi Mere Jazbaat Bol Rahe 
Mere Gaano Ka Daam Kuch Abhi Dus Laakh Bol Rahe
Kuch Controversies Ke Liye Masla Khoj Rahe 
Dhan Ke Lobh Mein Poori Lanka Jhonk Rahe
Samaaj Ki Sunu Main Ya Anaaj Ki 
Jab Baat Aati Bhookh Ki Toh Pagal Hona Laazmi
Jab Baahar Aati News 
Behen Ko Zinda Tak Nahi Chhoda
Safed Coat Hua Laal Jiske Daag Nahi Chhupe Aaj Bhi

Kisi Ne Poochha Nahi Beta Tera Haal Kya Hai
Sabhi Ne Poochha Tere Batwe Mein Kaagaz Kitne
Har Jagah Dhuan Dhuan Kaafi Hanikarak Din Thae
Kar Diya Maaf Sabhi Ko Hum Bhi Toh Baalak Dil Thae

Main Karta Hoon Ajeeb Shayari 
Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari
Khayaal Rakh Maa Baap Ka Long Live My G 
Aise Gaane Aisi Baatein Kahin Nahi Mil Paayegi

Main Karta Hoon Ajeeb Shayari 
Main Gareeb Shayar Karta Gareeb Shayari


Written by: Lashcurry


Gareeb Shayari Music Video



No comments:

Powered by Blogger.