Ads Top

Allah ka Ghar Lyrics - Nabeel Shaukat Ali & Tahseen Sakina | New Ramzan Kalaam 2025

Allah ka Ghar Lyrics is a beautiful kalam recitation by Nabeel Shaukat Ali & Tahseen Sakina, presented by the Nabeel Shaukat Ali label. Khadim Hussain penned the heartfelt lyrics. 


Allah ka Ghar Lyrics Nabeel Shaukat Ali & Tahseen Sakina New Ramzan Kalaam 2025


Allah ka Ghar Details: 

Kalaam: Allah ka Ghar
Reciters: Nabeel Shaukat Ali & Tahseen Sakina
Composer: Nabeel Shaukat Ali
Lyrics: Khadim Hussain 
Label: Nabeel Shaukat Ali

Allah ka Ghar Lyrics 

Ye kaaba jise kehtay hain hum
Mere Rab ki bari nishani hai
Ye markaz bana ibaadat ka 
Jhukti yahan har paishaani hai 

Allah ka Ghar, Sajdon ka dar 
Jhuktay yahan momino ke hain sar 
Dhul jatay hain, Dil ke gunaah 
Rehman hai wo tu tauba to kar

Tere khaleel (عليه السلام) ki bunyaad hai 
Taameer e Kaaba hamein yaad hai 
Aaya tha kaabay mai jab but shikan 
Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai 

Kaabay mai goonji thi ye hi sada
La ilaaha illalah 
Farishton ne aake ki hamd o Sana 
La ilaaha illalah 

Kya tha wo manzar kya tha sama 
Chat pe Bilal(رَضِيَ اللهُ عَنْهُ) ne di thi Azaan 
Sun ke Sahaba bhi rone lage 
Qurban Nabi (ﷺ) pe wo hone lage 

Allah se ki sab ne faryaad hai 
Hurmat e Kaaba rahe shaad hai 
Aaya tha kaabay mai jab but shikan 
Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai 

Kaabay mai goonji thi ye hi sada
La ilaaha illalah 
Paigham e Deen yun mukamal hua
La ilaaha illalah 

Zam Zam mai rakhi hai Rab ne shifa 
Hai Ismail (عليه السلام) ka ye maujza 
Jannat ka pathar kaabay mai laga 
Jisko Nabi (ﷺ) ne hai bosa diya 

Mere Nabi (ﷺ) ka ye irshaad hai
Banda gunahon se azaad hai 
Aaya tha kaabay mai jab but shikan 
Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai 

Kaabay mai goonji thi ye hi sada
La ilaaha illalah 
Risaalat se Tauheed ka silsila 
La ilaaha illalah 

Yaad hamein hai wo waqiya 
Abraha lashkar le kar tha khara 
Hukm ababeelon ko phir hua 
Kiya phir parindon ne unko tabaah 

Rab ne kiya unko barbaad hai
Unki nasal ab tak nashaad hai
Aaya tha kaabay mai jab but shikan 
Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai 

Kaabay mai goonji thi ye hi sada
La ilaaha illalah 
Baatil mita Haq hai zaahir hua
La ilaaha illalah 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghair ullah
Noor e Muhammad Sallallah
La ilaaha illalah 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghair ullah
Noor e Muhammad Sallallah
La ilaaha illalah

Written by: Khadim Hussain 


Allah ka Ghar Video



No comments:

Powered by Blogger.