Raaja Rani OST Lyrics - Rahat Fateh Ali Khan | Hum Tv Drama 2025
Raaja Rani OST Lyrics is a beautiful song from the Pakistani Drama Raaja Rani 2025 sung by Rahat Fateh Ali Khan and presented by the HUM TV label. The music for this captivating track Raaja Rani OST has been given by Raheel Fayyaz, with heartfelt lyrics penned by Asad Ali Shah. The music video for Raaja Rani OST has been skillfully directed by Amin Iqbal.
Raaja Rani OST Details:
OST: Raaja Rani
Drama: Raaja Rani 2025
Singers: Rahat Fateh Ali Khan
Music: Raheel Fayyaz
Lyrics: Asad Ali Shah
Director: Amin Iqbal
Music Label: HUM TV
Raaja Rani OST Lyrics
Har Qadam Pe Mili, Ek Nayi Si Gali
Raat Bhi Roz Hi Surkh Ho Kar Dhali
Rastay Par Kharay Hain Musafir Sabhi
Manzilain Samne, Ajnabi Ajnabi
Dard Ki Har Ghari Is Tarah Se Chali
Moujon Ki Jaise Rawani
Ek Tha Raja Ek Thi Rani
Kaisi Hai Yeh Kahani
Ek Tha Raaja Ek Thi Rani
Ajab Si In Ki Kahani
Jalti Hui Kahani
Ek Tha Raaja Ek Thi Rani
Jalti Hui Kahani
Aey Dil Sambhal
Bara Mushkil Yeh Safar
Doobtay Doobtay Maine Khud Se Kaha
Apni Taqdeer Se Kya Karoon Ab Gila
Samne Tha Mere Ek Sahil Jahan
Apne Hathon Likha Naau Ka Doobna
Gehray Pani Mein Tha Khola Khud Badbaan
Lehrain Hui Toofani
Ek Tha Raja Ek Thi Rani
Kaisi Hai Yeh Kahani
Ek Tha Raaja Ek Thi Rani
Sun Lo In Ki Kahani
Jalti Hui Kahani
Ek Tha Raaja Ek Thi Rani
Jalti Hui Kahani
Chala Teri Ishq Ki Raah Par
Aey Dil Sambhal
Bara Mushkil Yeh Safar
Written by: Asad Ali Shah

No comments:
Post a Comment