Dar E Zindan Pe Koi Masooma Lyrics - Mir Hasan Mir | New Noha 2025
Dar E Zindan Pe Koi Masooma Lyrics is a beautiful Noha recited by Mir Hasan Mir is presented by the Mir Hasan Mir label. This creative noha is composed by Janab Nadeem Sultanpuri (India), and the lyrics are beautifully penned by Janab Nadeem Sultanpuri (India).
Dar E Zindan Pe Koi Masooma Details:
Noha: Dar E Zindan Pe Koi Masooma
Reciter: Mir Hasan Mir
Composed by: Janab Nadeem Sultanpuri (India)
Lyrics: Janab Nadeem Sultanpuri (India)
Label: Mir Hasan Mir
Dar E Zindan Pe Koi Masooma Lyrics
Dar e Zindan Par Koi Masooma
Padha Karti Hai Ye Ro Kar Noha
Bohat Darr Mujh Ko Yahan Lagta Hai
Bohat Tanha Hon Chale Aao Na
Khud Aaa Ke Dekh Lo Baba Meri Halat
Nahi Pehchan Pao Ge Meri Soorat
Saahe Bachpan Main Masaib Itne
Zaifah Dikhne Lagi Ye Dukhiya
Bada Dushwaar Hai Iss Qaid Main Jeena
Bohat Yaad Aa Raha Hai Ap Ka Seena
Gaye Ho Jab Se Nahi Soi Main
Sakoon Se Ab Tak Kabhi Ik Lamha
Mujhe Phir Qabar Main Lagne Laga Hai Darr
Nikala Tha Jinho Ne Lasha e Asghar
Wo Zalim Phir Se Palat Ayen Hain
Phuphi Or Main Hon yahan Phir Tanha
Main Raon Le Ke Kab Tak Siskiyan Baba
Bohat Dukhti Hain Meri Pasliya Baba
Sakina Is Dam Hai Kis Halat Main
Fakat Samjhen Gi Ye Dadi Zehra
Nazar Aata Nahi Aankhon Ko Malti Hon
Sahara Le Ke Diwaron Ka Chalti Hon
Pakad Kar Zulfen Mujhe Zalim Ne
Na Jane Kaisa Tamancha Mara
Lage Hain Zakham Jitne Sab Dikhaon Gi
Jab Aao Ge To Main Sab Kuchh Bataon Gi
Bohat Mara Hai Bohat Tadpaya
Mujhe Logon Ne Samajh Kar Tanha
Nadeem Uss Waqt Khud Zindan Rota Tha
Sakina Jis Ghadi Padti Thi Ye Noha
Mujhe Lagta Hai Ke Ab Ghutt Ghutt Kar
Nikal Jaye Ga Yahin Dam Mera
Written by: Janab Nadeem Sultanpuri (India)

No comments:
Post a Comment