Ads Top

Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Lyrics - Mir Jawad Mir | New Noha 2025

Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Lyrics is a beautiful Noha recited by Mir Jawad Mir is presented by the Mir Hasan Mir label. This creative noha is composed by Janab Raza Shah, and the lyrics are beautifully penned by Mir Sajjad Mir. 


Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Lyrics Mir Jawad Mir


Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Details: 

Noha: Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala
Reciter: Mir Jawad Mir
Composed by: Janab Raza Shah
Lyrics: Mir Sajjad Mir
Label: Mir Hasan Mir

Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Lyrics 

Dil Chhota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala
Mola Hussain Sab Ko Dikhayen Ge Karbala

Sun Kar Areeza Ghazi Ne Paigham Hai Diya
Mola Hussain Sab Ko Dikhayen Ge Karbala

Fehrist Mujh Se Mang Rahe The Mere Imam
Likhwa Diye Hain Mola Ko Tum Sab Ke Maine Naam
Baqi Hai Bas Batool Ki Beti Ka Faisla

Ankhen Tumhari Sach Hai Ke Puraab Hain Bohat
Wo Khud Bhi Tumse Milne Ko Betaab Hain Bohat
Ek Bar Daikho Dil Se To De Kar Unhen Sada

Ghafil Nahi Kisi Se Bhi Ibn e Abu Turab
Misl e Mujaab Aaye Ga Har Aik Ka Jawab
Labaik Ya Hussain Ki Dete Raho Sada

Jo Reh Gaya Watan Main Usse Kehna Gham Na Kar
Khud Pursa Lene Aayen Ge Shabeer Tere Ghar
Bas Shah Se Ziyarat e Ashoor Mangna

Kehna Tum Uss Se Jis Ne Wasail Ka Tha Kaha
Tera To Rizq Shah Ne Kab Ka Badha Diya
Le Aaye Apne Bachon Ko Iss Saal Karbala

Farzand e Fatima Ki Badi Bargah Hai
Akbar Ke Baba Jan Ki Sab Par Nigah Hai
Kab Hain Waha Pe Farq Ameer o Gareeb Ka

Karbobala Jo La Na Saqa Walidain Ko
Wo Janta Nahi Abhi Aaqa Hussain Ko
Roze Pe Unke Aaye Bina Mar Gaye To Kia

Jo Matmi Jawan Hain Akbar Ke Pursa Daar
Unn Ka Khaas Rehta Hai Mola Ko Intezar
Mango Jawano Wasta De Kar Jawan Ka

Paison Se Kon Kehte Hai Jate Hain Karbala
Aata Hai Bas Wo Jisko Bulate Hain Karbala
Jis Jis Ne Bhi Yaqeen Hai Iss Baat Par Rakha

Nazdeek Jab Hussain Ki Turbat Ke Jao Ge
Niyat Karo Sakina Ki Ghurbat Sonao Ge
Sunne Ko Apni Ladli Beti Ka Marsiya

Kaise Bayan Ho Sughra Ki Halat Ajeeb Thi
Bimaar Apne Amoo Se Aakar Lipat Gai
Sughra Se Ye Tasali Main Abbas Ne Kaha

Abbas Iss Ki Baat Ka Rakh Laina Tum Bharam
Tere Bharose Chalta Hai Sajjad Ka Klam
Iss Ne To De Diya Hai Zamane Ko Aasra

Written by: Mir Sajjad Mir


Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala Video



No comments:

Powered by Blogger.