Hassan Imam E Hassan Lyrics - Nadeem Sarwar | New Noha 2025
Hassan Imam E Hassan Lyrics is a beautiful Noha recited by Nadeem Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri.
Hassan Imam E Hassan Details:
Noha: Hassan Imam E Hassan
Recited by: Nadeem Sarwar
Composed by: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee
Lyrics: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri
Label: Nadeem Sarwar
Hassan Imam E Hassan Lyrics
Hassan Imam E Hassan Yabna Zehra
Mola Hasan Sabz Qaba Syedi Mola
Hassan Imam E Hassan Yabna Zehra
Panjtani Panjtani Panjtani Ya Hasani
Ya Hasan Ya Hasan Ya Hasan
Gulshan E Zehra Ka Hasan Phool Hai Pehla
Nana Muhammad Ka Nawasa Hai Ye Pehla
Mola Ali Ko Hai Mila Laal Ye Pyara
In Ki Fazeelat Main Hai Kafi Yehi Kehna
Kehte Imam In Ko Hain Shabbir Bhi Apna
Aaisa Bada Bhai Nahi Hoga Dubara
Aap Ki Mehmaan Nawazi Ke Hain Charche
Koi Na Bhooka Hai Gya Aap Ke Dar Se
Aaise Sakhi Shah Ko Hai Zehr Se Maara
Rote Hain Abbas Bhi Qasim Ko Sambhale
Zainab O Kulsoom Ke Shabbir Ke Nale
Tukde Jigar Le Ke Chala Bhai Hamara
Uthta Hai Taboot Mere Mola Hasan Ka
Teeron Se Chhalni Hai Janaza Bhi Hasan Ka
Itne Sitam Sehta Raha Mola Hamara
Bhai Ka Shabbir Ne Taboot Uthaya
Haye Kafan Bhi Nahi Shabbir Ne Paya
Qalb E Hasan Sabz Qaba Parah Hai Parah
Written by: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri

No comments:
Post a Comment