Ads Top

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics - Ali Shanawar & Ali Jee | Noha 2008

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics is a beautiful Noha recited by Ali Shanawar & Ali Jee is presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, and the lyrics are beautifully penned by Rehan Azmi.


Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics Ali Shanawar & Ali Jee


Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Details: 

Noha: Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Recited by: Ali Shanawar & Ali Jee
Composed by: Nadeem Sarwar
Lyrics: Rehan Azmi
Label: Nadeem Sarwar

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics 


Mera Nana Nabi Meri Maa Syeda
Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan
Hum Hi Hain Panjatan

Meri Kya Hai Khata

Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Mere Nana Ne Kalma Sikhaya
Aur Quran Tum Ko Sunaya
Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai
Aur Masjid Mein Us Ghar Ka Dar Hai
Kya Main Us Ghar Mein Khaila Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Chakian Pees Kar Maa Ne Pala
Mujh Ko Nana Ne Jhoola Jhulaya
Apna Bachpan Main Bhoola Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kamli Wale Ke Lab Chumta Tha
Kitna Pyara Mera Bachpana Tha
Kya Main Un Ka Dulara Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha
Kiun Tarhapti Thi Maa Ab Main Samjha
Paas Asghar Ke Jata Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Chahun Baras Jayen Baadal
Khoon Mein Dooba Nazar Aaye Maqtal
Jang Karne Main Aaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ik Sada Thi Yeh Rehan O Sarwar
Keh Rahe Thy Hussain Ibn e Haider
Kya Main Mehmaan Aya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Pe Kiun Band Karte Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Written by: Rehan Azmi


Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Video



No comments:

Powered by Blogger.