Maqtal E Imam Hussain Lyrics - Mir Sajjad Mir | New Noha 2025
Maqtal E Imam Hussain Lyrics is a beautiful Noha recited by Mir Sajjad Mir is presented by the Mir Sajjad Mir label. This creative noha is composed by janab Ustad Azeem ul Mohsin, and the lyrics are beautifully penned by Mir Sajjad Mir.
Maqtal E Imam Hussain Details:
Noha: Maqtal E Imam Hussain
Recited by: Mir Sajjad Mir
Compose: janab Ustad Azeem ul Mohsin
Lyrics: Mir Sajjad Mir
Label: Mir Sajjad Mir
Maqtal E Imam Hussain Lyrics
Ae rone walon aayengi Mahshar mein Fatima
Bibi ka haal dekh ke royein ge Anbiya
Poochhein ge haath pehlu pe kyun hai rakha hua
Kyun jhuk ke chal rahi hai bhala kya maajra
Aawaaz aayegi yeh Sheh-e-Mashriqain ki
Sab nazron ko jhukaao yeh maa hai Hussain ki
Mahshar mein ek hashr uthayein gi Fatima
Ek daastan-e-zulm sunaayein gi Fatima
Royein gi Ahl-e-Gham ko rulaayein gi Fatima
Nanha sa ek laasha dikhaayein gi Fatima
Poochhein ge sab yeh kis ka tan-e-paash paash hai?
Bibi kahein gi yeh Ali Asghar ki laash hai
Phir Bibi barh ke Arsh ka paaya hilaayein gi
Haathon pe do do katay hue shaanay uthaayein
Baytay ka apne khoon bhara kurta dikhaayein gi
Insaaf maangne ke liye haath uthaayein gi
Ya Rab qasoor kya tha mere Noor-e-Ain ka
Zaalim se pooch kaata gala kyun Hussain ka
Hogi sada-e-ghaib suno Fatima suno
Tum khoon baha Hussain ka jo chahti ho lo
Lekin humare saamne tum is tarah na ro
Bolein gi Syeda yeh guzarish qubool ho
Khul jaaye ek ek pe ghurbat Hussain ki
Ya Rab dikha de sab ko shahadat Hussain ki
Sab ko dikhayi jaaye gi phir Asr-e-Karbala
Mazloom khoon mein dooba nazar sab ko aayega
Zahra kahein gi dekhiye Baba idhar zara
Yeh aap ka Hussain hai faujon mein ghir gaya
Ek pal nahi tha chain
Mere dil ke chain ko
Nau laakh mil ke maarte the Hussain ko
Seene pe kitne zakham the teeron ke dekhiye
Leta tha saans behte the fawware khoon ke
Is par bhi Ahl-e-Shaam ke hamlay kahaan rukay
Bekas pe aisa waar kiya ek la’een ne
Dandaan bhi shaheed hue Noor-e-Ain ke
Aise labon pe maara tha pathar Hussain ke
Zakhmon ki simt rait uda kar koi badha
Koi chala ke baazu pe khanjar guzar gaya
Talwar koi maar ke mazloom ko hansa
Un zaalimoon mein ek ban kaahil la’een tha
Us ne kiya woh waar ke mazloom dhal gaya
Sab pasliyon tod ke neyzah nikal gaya
Woh dard tha ke zeen pe baitha nahi gaya
Us ne utarna chaaha par utra nahi gaya
Paaon riqab se bhi nikaala nahi gaya
Aise kisi ko ran mein giraaya nahi gaya
Jab Hurmalah ka teer laga tha jabeen par
Ghore se munh ke bal gira pyaasa zameen par
Mazloom ke sarhaane gaya Shimar badgohar
Bekas ko maarta tha woh thokar idhar udhar
Laaya woh qatl-gaah talak zulfein kheench kar
Zainab pe uski nazrein thein, zaanu Hussain par
Zahra ki betiyon ke dilon ko dikhata tha
Dadhi pakar ke Shimar tamanchay lagata tha
Thehra na manton se bhi Baba woh bad-sifaat
Ghurbaat mein apne laal ka chhoda na maine saath
Sab ko to bas pata hai ke zakhmi hain mere haath
Baba qareeb aayen bataaoon ek aur baat
Zakhmi nahi hain haath faqat dil malool ke
Khanjar chala hai Baba galay par Batool ke
Pehli chali jo zarb to sab Anbiya hatay
Thi doosri hi zarb Hassan bhi nahi rukay
Woh zarb teesri thi Ali jis pe ro paray
Bas Baba chouthi zarb talak aap saath thay
Phir uske baad main thi, mere dil ka chain tha
Khanjar tha meri jholi thi, mera Hussain tha
Sajjad! Hashr hoga to royein khud Nabi
Bolein gi Zahra: Khatm museebat kahaan hui?
Lauti hai sab laash Ghareeb-ud-Diyar ki
Koi amaama aur abaa le gaya koi
Baba! Mere Hussain ki tauheen ki gayi
Mayyat to us ghareeb ki pehle hi lut gayi
Angushtri pe nazrein thein ek badnaseeb ki
Ungli la’een ne kaati hai mere ghareeb ki
Written by: Mir Sajjad Mir

No comments:
Post a Comment