Ads Top

Piya Lyrics - Sneha Shankar | New Hindi Song 2025

Piya Lyrics is a beautiful song sung by Sneha Shankar and presented by the T-Series label. The music for this captivating track Piya has been given by Abhijeet Srivastava, with heartfelt lyrics penned by Shayra Apoorva. The music video for Piya has been skillfully directed by Pallav Patel. 


Piya Lyrics Sneha Shankar


Piya Song Details: 

Song: Piya
Singers: Sneha Shankar
Music: Abhijeet Srivastava 
Lyrics: Shayra Apoorva 
Director: Pallav Patel 
Music Label: T-Series

Piya Lyrics 

More Piya re meri aankhon mein aake
Tu yaar tha, maane kuchh jhoothe se waade
More Piya re meri aankhon mein aake
Woh pal hi mitaane hum saath jahaan the

Maane nahi saiyyan mora, kaise manaayein?
Chain nahi aaye mohe, ab bin tere
Koyaliya ab geet na gaaye
Khabariya koi tori na laaye
Saawariya, ab chhoote jaaye mori saans bhi, haaye

Yaad Piya ki aaye, haaye Ram
Yaad Piya ki aaye

Yeh dukh aisa na jaaye, haaye
Yeh dukh saha na jaaye, haaye Ram
Yaad Piya ki aaye, haaye Ram
Yaad Piya ki aaye

Tum bin angna soona haaye
Koi bhi rang na mujhko bhaaye, haaye
Baat yeh dil ki kaise sunaayein?
Tum bin mora jiya ghabraaye
Kaise tumko bulaayein? Haaye
Yeh dukh saha na jaaye, haaye Ram

Yaad Piya ki aaye, haaye Ram
Yaad Piya ki aaye

More Piya re meri aankhon mein aake
Tu yaar tha, maane kuchh jhoothe se waade
More Piya re meri aankhon mein aake
Woh pal hi mitaane hum saath jahaan the
More Piya re meri aankhon mein aake
Tu yaar tha, maane kuchh jhoothe se waade
More Piya re meri aankhon mein aake
Woh pal hi mitaane hum saath jahaan the


Written by: Shayra Apoorva 

Piya Music Video




No comments:

Powered by Blogger.