Akbar (as) Ghar Aja Lyrics - Syed Irfan Haider | New Noha 2025
Akbar (as) Ghar Aja Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Irfan Haider presented by the Irfan Haider label. This creative noha is composed by Mesum Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi.
Akbar (as) Ghar Aja Details:
Noha: Akbar (as) Ghar Aja
Recited by: Syed Irfan Haider
Composed by: Mesum Zaidi
Lyrics: Zeeshan Abidi
Label: Irfan Haider
Akbar (as) Ghar Aja Lyrics
Andheray ghar mein Sughra diye jalati hai
Jab dil ghabrata hai, jab yaad satati hai
Beemar bahan tujh ko roo roo ke bulati hai
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Yaad mein teri roo roo kar mar jae gi Sughra
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Tu door hai, mujh ko yeh gham hai
Baba ki tujhe qasam hai
Main takti rahi tera raasta
Madine se tu jab gaya Karbala
Karbala... Karbala... haaye Karbala
Mujh ko bhi le chal, poora kar de waada
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Ab katt'te nahin hain din aur raat
Main kaise jiyun tere bin
Yahan aa gayi mujhe maut agar
Mere bhai aana meri qabar par
Qabar par... qabar par... haaye qabar par
Nana ki jaa kar karti hoon roz dua
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Awaaz mein teri jeete ji
Main phir se azaan sun loon
Tujhe dekhna hai mehrab mein
Tu ik baar aa ja mere khwab mein
Khwab mein... khwab mein... haaye khwab mein
Main ne dekha hai zakhmi tera seena
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Akbar yeh tamanna hai meri
Main shaadi rachaun teri
Bahan bhai hum dobara milein
Barhani hain bhaiya mujhe mannatain
Mannatain... mannatain... haaye mannatain
Mani hain, main ne dekhoon tera sehrā
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Jab chaand Muharram ka dekha
Dil mera tadap ke bola
Khuda se yeh hi dua main ne ki
Barha de mere bhai ki zindagi
Zindagi... zindagi... haaye zindagi
Meri bhi tujh ko lag jaaye mere bhaiya
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Sughra ne khat mein Zeeshan-o-
Irfan-e-Aza yeh likha
Sar-e-Karbala yeh khat khol kar
Hussain aa gaye ik jawaan laash par
Laash par... laash par... haaye laash par
Aa kar Shah bole: paighaam hai Sughra ka... haaye!
Akbar ghar aa ja, Sughra ka wasila
Written by: Zeeshan Abidi

1 comment:
KOUNAIN fatima
Post a Comment