Alvida Lyrics - Vishal Mishra | Aankhon Ki Gustaakhiyan 2025
Alvida Lyrics is a beautiful song from the new movie Aankhon Ki Gustaakhiyan 2025 sung by Vishal Mishra and presented by the Zee Music Company label. The music for this captivating track Alvida has been given by Vishal Mishra, with heartfelt lyrics penned by Vishal Mishra. The music video for Alvida has been skillfully directed by Santosh Singh.
Alvida Song Details:
Song: Alvida
Movie: Aankhon Ki Gustaakhiyan 2025
Singers: Vishal Mishra
Music: Vishal Mishra
Lyrics: Vishal Mishra
Director: Santosh Singh
Music Label: Zee Music Company
Alvida Lyrics
Koi To Aisi Jagah Hogi
Ke Jahaan Hum Phir Milenge
Jee Bhar Ke Phir Tumko Dekhenge
Teri Aankhon Mein Phir Dekhenge
Har Lamha Jo Tere Sang Tha
Mujhse Mila Banke Khuda
Ho To Rahe Hain Hum Abhi
Tumse Juda
Hai Alvida Bas Abhi Is Janam Ke Liye
Main Hoon Tera Har Zindagi Har Janam Ke Liye
Hai Alvida Bas Abhi Is Janam Ke Liye
Main Hoon Tera Har Zindagi Har Janam Ke Liye
Kaash Hum Keh Sake Kabhi Tumse Wo
Guzri Hai Tumhein Chhod Kar Mere Dil Pe Jo
Rooh Mohabbat Se Anjaan Thi
Besabab Ye Pareshan Thi
Tere Aane Se Hansne Lagi
Jo Ke Hansne Se Anjaan Thi
Teri Sohbat Mein Aaraam Tha
Tujhko Jeena Mera Kaam Tha
Tujhse Kehna Tha Kya Kya
Mujhe Par Batane Mein Nakaam Tha
Meri Har Kami Ki Tum Dua
Tum Hi The Mera Ghar-Jahaan
Agar Mil Gaye Jo Tum Kahin
Denge Bata
Hai Alvida Bas Abhi Is Janam Ke Liye
Main Hoon Tera Har Zindagi Har Janam Ke Liye
Hai Alvida Bas Abhi Is Janam Ke Liye
Main Hoon Tera Har Zindagi Har Janam Ke Liye
Alvida Hai Alvida Alvida Hai Alvida
Hai Alvida Bas Abhi Is Janam Ke Liye
Haan Ja Raha Hoon Alvida
Written by: Vishal Mishra

No comments:
Post a Comment