Duniya Alag Lyrics - Arijit Singh | Dhadak 2 (2025)
Duniya Alag Lyrics is a beautiful song from the new movie Dhadak 2 (2025) sung by Arijit Singh and presented by Zee Music Company label. The music for this captivating track Duniya Alag has been given by Durgesh Rajbhatt, with heartfelt lyrics penned by Siddharth-Garima. The music video for Duniya Alag has been skillfully directed by Shazia Iqbal.
Duniya Alag Song Details:
Song: Duniya Alag
Movie: Dhadak 2 (2025)
Singers: Arijit Singh
Music: Durgesh Rajbhatt
Lyrics: Siddharth-Garima
Director: Shazia Iqbal
Music Label: Zee Music Company
Duniya Alag Lyrics
Tumse hi meri kahaani
Pehchaan jaise puraani
Hoon saath main, tum saathiya
Tha galat apna yun milna
Kyun galat lagta hai dil na
Ho galtiyaan chingaariyaan
Main aag, tum ho daaman
Tum raag ho, main saavan
Main jahaan rahoon, ho tera woh jahaan
↔
Duniya alag meri tumhari
Ik hui raah ab humaari
Ek chaand tu, main raat ki dastaan hoon
Kisne chaah ko hawa di
Ye aag kyun jala di
Ek chaand tu, main raat ki dastaan hoon
Hm, sang rehte the jo, yeh kehte the woh
Mohabbat na ho jaaye humko kabhi
Jo ho jaaye toh, wahi chhod do
Woh raahein na jinka ho haasil kahin
Tha tumne chhua, lagi thi dua
Hua jo asar woh hum pe raha
Jo kal tha kabhi, woh hi aaj hai
Safar mein toh hain par manzil nayi
Woh saath tha ghadi bhar
Hai zindagi badi par
Milna likha tha apna hi yahaan
Duniya alag meri tumhari
Ik hui raah ab humaari
Ek chaand tu, main raat ki dastaan hoon
Kisne chaah ko hawa di
Ye aag kyun jala di
Ek chaand tu, main raat ki dastaan hoon
O-o-o
Yun khaak se uthakar
Hume ishq ne banaaya
Badli hawa, naya sab ho gaya
Yun khaak se uthakar
Hume ishq ne banaaya
Badli hawa, naya sab ho gaya
Duniya alag meri tumhari
Ik hui raah ab humaari
Ek chaand tu, main raat ki dastaan hoon
Written by: Siddharth-Garima

No comments:
Post a Comment