Ads Top

Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Lyrics - Farhan Ali Waris | New Noha 2025

Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Lyrics is a beautiful Noha recited by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris label. This creative noha is composed by Hassan Ayaz Jaffri, and the lyrics are beautifully penned by Mazhar Abidi.


Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Lyrics Farhan Ali Waris


Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Details: 

Noha: Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as
Recited by: Farhan Ali Waris
Composed by: Hassan Ayaz Jaffri
Lyrics: Mazhar Abidi
Label: Farhan Ali Waris

Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Lyrics 


Karbala Basa Kar Apna Ghar Luta Kar
Karbala Basa Kar Apna Ghar Luta Kar

God Ke Sabhi Pale
Reet Mein Chha Kar

Karbala Se Shaam Ja Rahe Hain Hussain (A.S)
Karbala Se Shaam Ja Rahe Hain Hussain (A.S)

Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Karbala Se Shaam Ja Rahe Hain Hussain (A.S)

Jang-E-Karbala Ko Maine Fatah Kar Liya
Fateh-E-Damishq Hogi Bint-E-Sayyida (S.A)

Yeh Qadam Qadam Bata Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Bibiyaan Ke Sar Khule Koi Na Dekh Le
Har Nigaah Meri Samt Hi Jami Rahe

Sab Ko Mo'jza Dikha Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Bain The Sakina (S.A) Ke Main Ro Nahi Saki
Baba (A.S) Kitne Din Hue Main So Nahi Saki

Lori Beti Ko Suna Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Be-Rida Haram Hain Chaar Simt Ahl-E-Shar
Khoon Ro Raha Hai Saarban Jhukaaye Sar

Uska Hosla Badha Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Aag Aur Pathron Ki Baarishein Hui
Zakhmi Sar Behn Ka Hai Lahu Lahu Jabeen

Zakhm Pathron Se Kha Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Jab Suna Yeh Sheereen Ne To Ro Ke Di Sada
Jaag Utha Naseeb Mera Ae Mere Khuda

Aaj Mere Ghar Pe Aa Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Bete, Bhaanje, Bhateeje Ban Mein So Chuke
Alqama Pe Sher Jaisa Bhai Kho Chuke

Wada Aakhri Nibha Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Qaflay Se Mutma'in Imam (A.S) Ho Gaye
Shaam Pohnche, Khatam Saare Kaam Ho Gaye

Nana (S.A.W) Se Duayein Paa Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Maante Hain Maatami Bhi Aur Farhaan Bhi
Dastan-E-Gham Safar Ki, Mazhar Abidi

Likh Raha Hoon Main, Likha Rahe Hain Hussain (A.S)
Nayze Pe Qur’an Suna Rahe Hain Hussain (A.S)

Karbala Se Shaam Ja Rahe Hain Hussain (A.S)
Karbala Se Shaam Ja Rahe Hain Hussain (A.S)

Karbala Basa Kar Apna Ghar Luta Kar
God Ke Sabhi Pale, Reet Mein Chha Kar

Written by: Mazhar Abidi


Karbala Se Shaam Ja Rahay Hain Hussain as Video



No comments:

Powered by Blogger.