Ads Top

Uth Ja Mere Sajjad (as) Lyrics - Syed Irfan Haider | New Noha 2025

Uth Ja Mere Sajjad (as) Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Irfan Haider presented by the Irfan Haider label. This creative noha is composed by Mesum Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi. 


Uth Ja Mere Sajjad as Lyrics Syed Irfan Haider


Uth Ja Mere Sajjad (as) Details: 

Noha: Uth Ja Mere Sajjad (as)
Reciter: Syed Irfan Haider
Poet: Zeeshan Abidi
Composed by: Mesum Zaidi
Label: Irfan Haider

Uth Ja Mere Sajjad (as) Lyrics 

Haaye Sajjadؑ… Haaye Sajjadؑ… Haaye Sajjadؑ
Shaam-e-Ghareebaan, jalte khemay, uthta dhuwaan
Aun o Muhammadؑ ki maaؐ
Aayi Sajjadؑ ke kheme mein
Kaha shana hila kar rote huay
Aabaad rahe gi Karb o Bala (x2)
Chal Shaam karein aabaad… uth ja mere Sajjadؑ
Uth ja mere Sajjadؑ… mera maan-jaaya nahi aaya
Sun Zainabؐ ki fariyaad… uth ja mere Sajjadؑ

Ammaؐ ka haath galay par tha, door se dekha tha maine (Haaye)
Maqtal mein sookhi gardan par, jab Shimr ne teerhaan waar kiye
Woh bhai mera… waayila… maara gaya pyaasa… waayila
Jis bhaiؑ par qurbaan hui (x2)
Pyaasi meri aulaadؑ… uth ja mere Sajjadؑ

Khemon mein hi jal jaayein na, khemon se nikal jaayein baahar (Haaye)
Kya hukm hai tera Zainabؐ ko, ek baar bata de tu uth kar
Na Qasimؑ hai na Asgharؑ hai, Abbasؑ hai aur na Akbarؑ hai
Bas tera sahaara hai hum ko (x2)
Bhaiya Shabbirؑ ke baad… uth ja mere Sajjadؑ

Yeh Shaam-e-Ghareebaan hai betaؑ, teri pehli shaam Imaamat ki (Haaye)
Teri saalaari mein Shaam talak, karna hai safar ban kar qaidi
Na mahmil hai na houdaj hai, na lashkar ki woh saj dhaj hai
Jab haath bandhenge gardan se
Ghaaziؑ aaye ga yaad… uth ja mere Sajjadؑ

Be-maqna o chaadar, naaqa se humein jaana hai Sajjadؑ jahan (Haaye)
Ae la’alؑ suno kaise hoga, Saadaatؑ ka isteqbaal wahan
Bazaar mein aane se pehle, rokein ge humein darwaze pe
Galiyon ko sajaya jaaye ga (x2)
Naye honge sitam ijaad… uth ja mere Sajjadؑ

Sajjadؑ teri masoom behanؐ, zaalim ke tamaache khaye gi (Haaye)
Maange ga kaneezi mein Haakim, darbaar mein jab woh jaaye ga
Mar jaaye gi durray kha kha kar, zindaan mein us ko dafna kar
Tujhe rona hai chalis baras (x2)
Na honge kabhi hum shaad… uth ja mere Sajjadؑ

Az Shaam… Az Shaam… Az Shaam suna, aur aankhein kholein Abidؑ ne (Haaye)
Zainabؐ ne kaha: Ae Zeeshan o Irfaan, sahaara dete huay
Maqtal mein paday un laashon ka, Chehlum karne un pyaason ka
Aayenge dobaara Karb o Bala (x2)
Jab honge hum azaad… uth ja mere Sajjadؑ
Haaye Sajjadؑ

Written by: Zeeshan Abidi


Uth Ja Mere Sajjad (as) Video



No comments:

Powered by Blogger.