Marhaba Ya Lyrics - Abdul Malik Fareed & Aqib Farid | New Nasheed 2025
Marhaba Ya Lyrics is a beautiful nasheed Recite by Abdul Malik Fareed & Aqib Farid is presented by the Abdul Malik Fareed label. This creative noha is composed by Aqib Farid & Zain Javed, and the lyrics are beautifully penned by Usman Abbas & Zain Javed.
Marhaba Ya Details:
Nasheed: Marhaba Ya
Recite: Abdul Malik Fareed & Aqib Farid
Recite: Abdul Malik Fareed & Aqib Farid
Lyrics: Usman Abbas & Zain Javed
Composition: Aqib Farid & Zain Javed
Label: Abdul Malik Fareed
Marhaba Ya Lyrics:
Mahraba Ya Ramadan
Mahraba Ya Ramadan
Mubarak Baad Aye Logoon
K Phir Ramzan Aya Hai
Khuda Ki Khas Rehmat Se
Bhara Mehman Aya Hai
Khuda Ki Zaat E Wahdat Ki
Ibadal Lazmi Thehri
Nabiullah Ki Har Lamhe
Attaat Lazmi Thehri
Tarawi Ho Yaan Quran Ki
Talawat Lazmi Thehri
Issi Main Aasman Se Ard
Per Quraan Aya Hai
Mahraba Ya Ramadan
Mahraba Ya Ramadan
Koi Aye Meri Rehmat
Meri Har Dam Raza Mange
Musibat Se Ghamoon Se Bach
Nikalne Ki Dua Mange
Koi Aye Jo Bakhsish Ki
Fakat Mujhse Ata Mange
Main Ker Dunga Ye Sab, Rab Ka
Yehi Elaan Aya Hai
Masajid Main Hui Roonak
Khuda Ki Rehmateen Aeen
Ibadat Ki Talawat Ki
Ajab Hi Raahteen Paeen
Mahraba Ya Ramadan
Mahraba Ya Ramadan
Khuda Se Tum Bare Rutbe
Ager Chaho Rakho Roze
Jo Us Ki Khaas Rehmat Ki
Nazar Chaho Rakho Rooze
Agr Uqba Main Bakhshish Ki
Khabar Chaho Rakho Roze
Khuda Ka Is Mahine Main
Bara Ehsan Aya Hai
Sehr Iftar Ki Soorat
Khuda Ki Neemateen Paeen
Shiateen Qaid Hain Un Per
Bara Nuqsaan Aya Hai
Mahraba Ya Ramadan
Mahraba Ya Ramadan
Layla Tul Qadr Aae Gi
Tayari Kar Lo Ay Logo
Mehekti Dil Lubha Khushbu
Muattar Ho K Tum Niklo
Isay Jo Pana Chaho Taq
Raton May Milo Is Ko Bhi
Hazar Maah Se Barh Kar
Yehi Inaam Aya Hai
Isay Aksar He Pa Liya
Hai Aitakaf Walon Nay
Chalo Phir Kar Lo Niyat Tum
K Phir Ramadan Aya Hai
Written by: Usman Abbas & Zain Javed

No comments:
Post a Comment