Haider Ka Janaza Lyrics - Salim Merchant & Imran Abidi | New Noha 2025
If you are looking for Haider Ka Janaza lyrics, you can read the full noha lyrics below. Haider Ka Janaza is recited by Salim Merchant and Imran Abidi. The noha is written by Razi Sahab and Imran Abidi, and composed by Salim Sulaiman.
Haider Ka Janaza Details:
Noha: Haider Ka Janaza
Reciter: Salim Merchant, Imran Abidi
Poet: Razi Sahab & Imran Abidi
Composition: Salim Sulaiman
Label: Salim Sulaiman Music
Haider Ka Janaza Lyrics
Haider Ke Janaze Ko Hasnain Uthate Hain
Hain Kaise Musalmaan Jo Zahra Ko Rulate Hain
Zainab Yehi Kehti Hain Batlaiye Baba
Gurabat Mein Humein Kis Par Ab Chor Ke Jate Hain
Kulsoom Tadapti Hain Lipti Hui Baba Se
Shabbir Janaze Se Samjha Ke Hatate Hain
Sehme Huye Hain Ghazi, Baithe Huye Hujre Mein
Bhai Ko Shahe Wala Behla Ke Bulate Hain
Written by: Razi Sahab & Imran Abidi

No comments:
Post a Comment