Shan e Ramazan 2025 Lyrics - Waseem Badami, Junaid Jamshed & Amjad Sabri | New Kalam 2025
Shan e Ramazan 2025 Lyrics is a beautiful kalam recitation by Reciter Waseem Badami, Junaid Jamshed & Amjad Sabri, presented by the ARY Digital label. Rehan Haider penned the heartfelt lyrics.
Shan e Ramazan 2025 Details:
Kalam: Shan e Ramazan 2025
Recitation: Waseem Badami, Junaid Jamshed & Amjad Sabri
Lyrics: Rehan Haider
Label: ARY Digital
Shan e Ramazan 2025 Lyrics
Maah-E-Ramzan Yun Aa Gaya
Ban Ke Rehmat Ye Phir Chha Gaya
Kaise Tujhse Karun Saamna
Gir Raha Hoon Zara Thaamna
Le Ke Iz Ne Khuda Tohfa-E-Kibriya
Rehmaton Barkaton Ka Ye Hai Silsila
Phir Simat Aa Gayi Raunak Do Jahan
Wajd Mein Hoke Jaise Zamaan-O-Makka
Maah-E-Inaam Hai Mujh Pe Aisa Bada
Bas Jhuka Hai Yeh Sar Aur Kya Maagna
Banda Parwar Hai Tu Bas Zara Dekhna
Teri Marzi Ko Paana Meri Justuju
Allah Hu Allahu Allah Hu Allahu
Shan E Ramzan Aaya Chaar Soo
Allah Hu Allahu Allah Hu Allahu
Shan E Ramzan Aaya Chaar Su
Shan E Ramzan Hai Har Taraf Chaar Soo
Goonjti Hai Jo Ye Ek Sada Allah Hu
Silsila Rehmaton Ka Dua Se Mila
Nematon Ka Yeh Kesa Maheena Mila
Aao Mil Baant Ke Baant Lo Har Khushi
Haan Yahi Hai Ibadat Ye Hi Bandagi
Shaane Ramzan Hai Dil Kasho Khoob Roo
Assalam Shan E Ramzan
Shan E Ramzan
Shan E Ramzan
Shan E Ramzan
Shan E Ramzan
Written by: Rehan Haider

No comments:
Post a Comment