Pehli Mohabbat OST Lyrics - Qasim Dahir | Hum TV Drama 2025
Pehli Mohabbat OST Lyrics is a beautiful song from the new Pakistani drama Pehli Mohabbat 2025 sung by Qasim Dahir and presented by HUM TV Label. The music for this captivating track Pehli Mohabbat OST has been given by Hassan Rai, with heartfelt lyrics penned by Hassan Rai & Qasim Dahir. The music video for Pehli Mohabbat OST has been skillfully directed by Haseeb Ali.
Pehli Mohabbat OST Details:
OST: Pehli Mohabbat
Drama: Pehli Mohabbat 2025
Singers: Qasim Dahir
Music: Hassan Rai
Lyrics: Hassan Rai & Qasim Dahir
Director: Haseeb Ali
Music Label: HUM TV
Pehli Mohabbat OST Lyrics
Hain Tootay Mere Sab Sapne
Hain Roothay Mere Sab Apne
Dil Bechara Haye Mara Jaye Na
Safar Mein Tou Khushiyan Thi
Par Manzil Khaali Thi
Sab Tha Dikh Raha
Aur Samajh Hum Paye Na
Kaisi Hai Tanhayi
Haye Ab Main Kya Karoon
Mili Hai Ruswayi
Haye Ab Main Kya Karoon
Kahan Le Aayi Zindagi
Khud Se Hain Shikway Kayi
Jo Mil Gya Tha
Kho Gya Kahan
Pochtay Aansoo Bhi
Bewafayi Kyun Mili
Yeh Udaasi Kyun Mili
Jo Bhi Tha Likha Wohi Jee Rahe Hain
Jo Qismat Thi Meri
Veeran Rastay Veeran Hum
Khali Yeh Dil Hai Bejaan Hum
Yeh Jo Saansain Gin Gin Ke Hum Jee Rahe
Haan Kaise Chupaye Gein Dunia Se Hum
Sunsaan Tere Yeh Ghar Ki Gali
Anjaan Hum Se Hain Hone Lagi
Maine Sambhalay Hue Jo Milay
Pehli Mohabbat Ke Saray Zakham
Badal Gye Saye Mere
Ab Main Kya Karoon
Sambhal Bhi Na Paye
Haye Ab Main Kya Kahoon
Kahan Le Aayi Zindagi
Khud Se Hain Shikway Kayi
Jo Mil Gya Tha
Kho Gya Kahan
Pochtay Aansoo Bhi
Bewafayi Kyun Mili
Yeh Udaasi Kyun Mili
Jo Bhi Tha Likha Wohi Jee Rahe Hain
Jo Qismat Thi Meri
Written by: Hassan Rai & Qasim Dahir

No comments:
Post a Comment