Chala Gaya Abbas Lyrics - Syed Raza Abbas Zaidi | New Noha 2025
Chala Gaya Abbas Lyrics is a beautiful Noha recited by Syed Raza Abbas Zaidi is presented by the Syed Raza Abbas Zaidi label. This creative noha is composed by Syed Raza Abbas Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Janab Zeeshan Abidi.
Chala Gaya Abbas Details:
Noha: Chala Gaya Abbas
Recited by: Syed Raza Abbas Zaidi
Compose: Syed Raza Abbas Zaidi
Lyrics: Janab Zeeshan Abidi
Label: Syed Raza Abbas Zaidi
Chala Gaya Abbas Lyrics
Ilm jo darya se aata hua dikhai diya
Sakinaؑ dar pe jo pohanchin to baap ko dekha
Yeh ro ke bachi ne poocha kahan hain mere chacha
Ilm Sakinaؑ ke haathon mein deke Shahؑ ne kaha
Ilm barha do Sakinaؑ, chala gaya Abbasؑ
Husainؑ ho gaya tanha, chala gaya Abbasؑ
Yaqeen aata nahi tha ke mar gaya Ghaziؑ
Main thap-thapata raha uske gaal, aye beti
Magar Husainؑ ki us waqt aas toot gayi
Jab aake maa ne bataya, chala gaya Abbasؑ
Sakinaؑ paani se kis ki nazar utaarogi
Tum abbu jaan kise kehke ab pukarogi
Woh yaad aayega jab Shaam tum sidharogi
Nahin milega dobara, chala gaya Abbasؑ
Pohanch ke darya pe mashkeezah jab bhara usne
Sakinaؑ yaad teri pyaas ko rakha usne
Tha uske saamne paani, nahin piya usne
Tumhari tarah se pyaasa, chala gaya Abbasؑ
Kisi ne gurz jo maara to woh sambhal na saka
Kate the haath, sahaara woh kis tarah leta
Zameen pe aise gira, zakhmi ho gaya chehra
Dobara uth nahin paya, chala gaya Abbasؑ
Kahan kahan use royi hai meri tanhaai
Kahin badan tha, kahin haath, kya ghari aayi
Bikhar gaya mera battis saal ka bhai
Pada hai dasht mein laashah, chala gaya Abbasؑ
Jawaan bhai ka mar jaana sakht manzil hai
Main kaise zinda hoon yeh jaanta mera dil hai
Magar Sakinaؑ, yeh ek kaam sab se mushkil hai
Teri phoophi ko batana, chala gaya Abbasؑ
Laga hai haath pe jo khoon, yeh usi ka hai
Tha uski aankh mein jo teer, maine kheencha hai
Woh jaanta tha mere dil mein kya tamanna hai
Pukaar kar mujhe Bhaiya, chala gaya Abbasؑ
Zameen pe girne se dandan uske zakhmi the
Kate the hont, badan choor choor zakhmon se
Tum aise haal mein Ghaziؑ ko dekhti kaise
Tabhi to ghar nahi aaya, chala gaya Abbasؑ
Ghadi woh aayi thi Zeeshan aur Raza kaisi
Kaha yeh kheemon mein jab Shahؑ ne, mar gaya Ghaziؑ
Girein zameen pe ghash khaake Bibiyan saari
Koi bhi sun nahi paya, chala gaya Abbasؑ
Written by: Janab Zeeshan Abidi

No comments:
Post a Comment